mudda.ā jo zehn se uTThā thā vo bejā na thā
dil bahut ma.asūm thā dil aql-parvarda na thā
maiñ tilism-e-raushnī se khā rahā thā kyuuñ fareb
dhuup thī to thā mirā apnā koī saaya na thā
jañgaloñ ne kar liyā taslīm jaane kyuuñ gunāh
ai jahān-e-nau tirā ilzām tak puḳhta na thā
raqs karte karte ik din ḳhaak ho jā.eñge ham
rañj farmā.egā is darja junūñ sochā na thā
maiñ shurū-e-ishq meñ hal karne vaalā thā ise
mas.ala rūh-o-badan kā itnā pechīda na thā
jab yahāñ rahne ke sab asbāb yakjā kar liye
tab khulā mujh par ki maiñ duniyā kā bāshinda na thā
rafta rafta maut kī jānib baḌhā kyuuñ har koī
zindagī meñ kyā burā thā zindagī meñ kyā na thā