Abhinandan Pandey

waqt kai bosida kaghaz pe raqam hone ko hai

Abhinandan Pandey

Patna, Bihar, India

1988
vaqt kai bosiida kaaGaz pe raqam hone ko hai
lamha-e-maujuud agle pal jo kam hone ko hai
merii vahshat se kabhii sairaab thaa dasht-e-junuu.n
ab mirii diivaangii kaa sar qalam hone ko hai
us ke jaanib-daar hai.n saare miraa ko.ii nahii.n
al-madad ai dil sar-e-pindaar KHam hone ko hai
zehn kahtaa hai ziyaada vaqt legaa kaar-e-ishq
dil to kahtaa hai ajii bas ek dam hone ko hai
ik nayaa tarz-e-sitam iijaad karnaa hai use
ik na.ii tarkiib se mujh pe sitam hone ko hai
ai KHudaa-e-mai-kada merii madad ko jald aa
teraa banda aashiq-e-dair-o-haram hone ko hai
zindagii kuchh roz se kyuu.n mehrbaa.n hai be-sabab
kyaa kisii aashob kaa ham pe karam hone ko hai
khii.nch laa.ii jaanib-e-dariyaa hame.n bhii tishnagii
ab guluu-e-KHushk kaa KHanjar pe ram hone ko hai
Top Urdushayar.com