Arzoo Lakhnavi

ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ras un āñkhoñ kā hai kahne ko zarā sā paanī
saiñkaḌoñ Duub ga.e phir bhī hai itnā paanī
aañkh se bah nahīñ saktā hai bharam kā paanī
phuuT bhī jā.egā chhālā to na degā paanī
chaah meñ pā.ūñ kahāñ aas kā mīThā paanī
pyaas bhaḌkī huī hai aur nahīñ miltā paanī
dil se laukā jo uThā aañkh se Tapkā paanī
aag se aaj nikalte hue dekhā paanī
kis ne bhīge hue bāloñ se ye jhaTkā paanī
jhuum kar aa.ī ghaTā TuuT ke barsā paanī
phailtī dhuup kā hai ruup laḌakpan kā uThān
dopahar Dhalte hī utregā ye chaḌhtā paanī
TikTikī bāñdhe vo takte haiñ maiñ is ghaat meñ huuñ
kahīñ khāne lage chakkar na ye Thahrā paanī
koī matvālī ghaTā thī ki javānī kī umañg
jī bahā le gayā barsāt kā pahlā paanī
haath jal jā.egā chhālā na kaleje kā chhuo
aag muTThī meñ dabī hai na samajhnā paanī
ras hī ras jin meñ hai phir sail zarā sī bhī nahīñ
māñgtā hai kahīñ un āñkhoñ kā maarā paanī
na satā us ko jo chup rah ke bhare ThanDī saañs
ye havā kartī hai patthar kā kaleja paanī
ye pasīna vahī aañsū haiñ jo pī jaate the ham
'ārzū' lo vo khulā bhed vo TuuTā paanī
Top Urdushayar.com