phir chāhe to na aanā o ān-bān vaale
jhūTā hī va.ada kar le sachchī zabān vaale
maujūd dil jigar haiñ de abrūoñ ko jumbish
dohra nishāna bhī hai dohrī kamān vaale
ye chupke chupke bāteñ nazreñ bachā bachā kar
rakhte haiñ aañkh ham bhī ham bhī haiñ kaan vaale
kahnā pate pate kī aur naam phir hañsī kā
chhuriyāñ na bhoñk dil meñ mīThī zabān vaale
vo 'ārzū' sar apnā Takrā rahā hai dar se
nīche to dekh jhuk kar ūñche makān vaale