dam-ba-ḳhud baiTh ke ḳhud jaise zabāñ giilī hai
saañs kyā luuñ ki havā dahr kī zahrīlī hai
ban gayā qatra-e-nāchīz taraqqī se guhar
zaat hai ek faqat naam kī tabdīlī hai
laag ne jis kī mujhe phūñkā hai andar andar
sham.a us aag kī ik hai.at-e-tamsīlī hai
mal ke miTTī tirī chaukhaT kī huā ḳhaak se paak
jo lakīr ab mire māthe kī hai chamkīlī hai
phir uḌānā haiñ garebāñ ke mujhī ko purze
haath bekār abhī the kī qabā sī lī hai
'ārzū' hogā ye maqtal hī azā-ḳhāna bhī
shafaqī farsh zamīñ kā hai to chhat niilī hai