Arzoo Lakhnavi

jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
jin rātoñ meñ niiñd uḌ jaatī hai kyā qahr kī rāteñ hotī haiñ
darvāzoñ se Takrā jaate haiñ dīvāroñ se bāteñ hotī haiñ
āshob-e-judā.ī kyā kahiye an-honī bāteñ hotī haiñ
ā.ankhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujālī rāteñ hotī haiñ
jab vo nahīñ hote pahlū meñ aur lambī rāteñ hotī haiñ
yaad aa ke satātī rahtī hai aur dil se bāteñ hotī haiñ
ghir ghir ke bādal aate haiñ aur be-barse khul jaate haiñ
ummīdoñ kī jhūTī duniyā meñ sūkhī barsāteñ hotī haiñ
ummīd kā sūraj Duubā hai ā.ankhoñ meñ añdherā chhāyā hai
duniyā-e-firāq meñ din kaisā rāteñ hī rāteñ hotī haiñ
tai karnā haiñ jhagḌe jiine ke jis tarah bane kahte sunte
bahroñ se bhī paalā paḌtā hai gūñgoñ se bhī bāteñ hotī haiñ
ā.ankhoñ meñ kahāñ ras kī būñdeñ kuchh hai to lahū kī laalī hai
is badlī huī rut meñ ab to ḳhūnīñ barsāteñ hotī haiñ
qismat jaage to ham so.eñ qismat so.e to ham jāgeñ
donoñ hī ko niiñd aa.e jis meñ kab aisī rāteñ hotī haiñ
jo kaan lagā kar sunte haiñ kyā jāneñ rumūz mohabbat ke
ab hoñT nahīñ hilne paate aur pahroñ bāteñ hotī haiñ
jo naaz hai vo apnātā hai jo ġhamza hai vo lubhātā hai
in rañg-birañgī pardoñ meñ ghātoñ par ghāteñ hotī haiñ
hañsne meñ jo aañsū aate haiñ nairañg-e-jahāñ batlāte haiñ
har roz janāze jaate haiñ har roz barāteñ hotī haiñ
jo kuchh bhī ḳhushī se hotā hai ye dil kā bojh na ban jaa.e
paimān-e-vafā bhī rahne do sab jhūTī bāteñ hotī haiñ
jab tak hai diloñ meñ sachchā.ī sab nāz-o-niyāz vahīñ tak haiñ
jab ḳhud-ġharzī aa jaatī hai jul hote haiñ ghāteñ hotī haiñ
himmat kis kī hai jo pūchhe ye 'ārzū'-e-saudā.ī se
kyuuñ sāhab āḳhir akele meñ ye kis se bāteñ hotī haiñ
Top Urdushayar.com