taḌapte dil ko na le iztirāb letā jā
paTak de sāġhar-e-ḳhālī sharāb letā jā
vo haath maar palaT kar jo kar de kaam tamām
baḌe azaab meñ huuñ maiñ savāb letā jā
vo ban hī ghar se hai achchhā sukūn jis meñ mile
mujhe bhī o dil-e-ḳhāna-ḳharāb letā jā
mile ik aah kā vaqfa to vaqt-e-purshish-e-hāl
har ik savāl kā apne javāb letā jā
naqāb uThā ke kiyā sāmnā to muñh ko na pher
dikhā ke ḳhvāb na ā.ankhoñ se ḳhvāb letā jā