Arzoo Lakhnavi

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
karam un kā ḳhud hai baḌh kar mirī hadd-e-iltijā se
mujhe sū-e-zan nahīñ hai ki duā karūñ ḳhudā se
dil-e-mutma.in kī vus.at koī kam hai mā-sivā se
mujhe kaahe kī kamī hai jo talab karūñ ḳhudā se
huī ḳhatm ġham kī āñdhī vahī dil kī lau hai ab bhī
yahī sho.ala thā vo sho.ala ki laḌā kiyā havā se
kahe kaun use patiñgā jo hai sho.ale par dhuāñ sā
tujhe le uḌe haiñ kitnā tire par zarā zarā se
jo hai sab kā dene vaalā maiñ usī ko chāhtā huuñ
mirī bhiik vo nahīñ hai ki mile kisī gadā se
ye hai qasr-e-zindagānī ki habāb-e-bahr-e-fānī
abhī ban gayā havā se abhī miT gayā havā se
ye ḳhayāl ḳhud hai aisā jo ḳhushī banā de ġham ko
ki hai ibtidā ḳhushī kī mire ġham kī intihā se
mirā dil razā pe raazī karam us kā josh par hai
jo ab aa ga.ī zabāñ tak to asar gayā duā se
mirī laakh minnatoñ par tirī ik hayā hai bhārī
koī parda hai vo parda ki hile-Dule havā se
tire pāk-bāz-e-ulfat nahīñ hārne ke himmat
jo mareñge Duub kar bhī to mareñge rah ke pyāse
kisī dil kī aas yuuñ bhī kabhī 'ārzū' na TuuTe
ye kahe banī hai dam par vo kahe mirī balā se
Top Urdushayar.com