Arzoo Lakhnavi

yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
yuuñ duur duur dil se ho ho ke dil-nashīñ bhī
haiñ to isī jahāñ meñ milte nahīñ kahīñ bhī
kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamīñ bhī
mar rahne kā Thikānā miltā nahīñ kahīñ bhī
tūfān-e-bahr ḳhud haiñ baḌhtī umañgeñ dil kī
kashtī qarār legī ho kar na tah-nashīñ bhī
imkāñ kī had ke andar koshish kī had se bāhar
dil jis ko DhūñDhtā hai vo hai bhī aur nahīñ bhī
ummīd-e-dil kī fitrat hai be-niyāz taskīñ
kam ho na be-qarārī aa.e agar yaqīñ bhī
bīm-o-rajā se dil meñ dariyā kā jazr-o-mad hai
sāhil-navāz maujeñ aa.iiñ bhī aur ga.iiñ bhī
ye multafit nigāheñ sheva viġhā hai jin kā
haiñ mojib-e-sukūñ bhī hañgāma-āfrīñ bhī
kar pahle dil pe qaabū jaame kī phir ḳhabar le
dāman bachāne vaale jaatī hai āstīñ bhī
ḳhatre meñ jaan jis se vo jaan se bhī pyārā
rañgīñ-ezār sho.ala qātil bhī hai hasīñ bhī
sar-gashta-e-mohabbat dār-e-mehan meñ phir kar
dekh aa.e gosha gosha rāhat nahīñ kahīñ bhī
nairañgī-e-talavvun lā-hal sā ik muamma
samjhe jo tere tevar paḌh le ḳhat-e-jabīñ bhī
shān-e-ġhurūr un kī tasvīr ik ruḳhī hai
aur aarzū kī nazreñ shaidā bhī haiñ hasīñ bhī
Top Urdushayar.com