jo dil saath chhuTne se ghabrā rahā hai
vo chhuTtā nahīñ aur paas aa rahā hai
hamesha ko phūle phalegā ye gulshan
abhī dekhne ko to murjhā rahā hai
har ik shaam kahtī hai phir sub.h hogī
añdhere meñ sūraj nazar aa rahā hai
baḌhī jā rahī hai agar dhuup aage
to saaya bhī dauḌā chalā jā rahā hai
sitāre baneñge chamakdār aañsū
ye ronā hañsī kī ḳhabar lā rahā hai
agar dukh nahīñ hai nahīñ phir hai sukh bhī
zamāna ye pahchān batlā rahā hai
thakan 'ārzū' kahtī hai rāste kī
ki ārām bhī saath saath aa rahā hai