Arzoo Lakhnavi

dur the hosh-o-hawas apne se bhi begana tha

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
duur the hosh-o-havās apne se bhī begāna thā
un ko bazm-e-nāz thī aur mujh ko ḳhalvat-ḳhāna thā
khīñch laayā thā ye kis aalam se kis aalam meñ hosh
apnā haal apne liye jaise koī afsāna thā
chhoTe chhoTe do varaq jal jal ke daftar ban ga.e
dars-e-hasrat de rahā thā jo par-e-parvāna thā
jaan kar vārafta un ke chheḌne kī der thī
phir to dil ik hosh meñ aayā huā dīvāna thā
zau-fishāñ hone lagā jab dil meñ husn-e-ḳhud-numā
phir to kaaba 'ārzū' kaaba na thā but-ḳhāna thā
Top Urdushayar.com