Arzoo Lakhnavi

masum nazar ka bhola-pan lalcha ke lubhana kya jaane

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ma.asūm nazar kā bholā-pan lalchā ke lubhānā kyā jaane
dil aap nishāna bantā hai vo tiir chalānā kyā jaane
kah jaatī hai kyā vo chīn-e-jabīñ ye aaj samajh sakte haiñ kahīñ
kuchh sīkhā huā to kaam nahīñ dil naaz uThānā kyā jaane
chaTkī jo kalī koyal kuukī ulfat kī kahānī ḳhatm huī
kyā kis ne kahī kyā kis ne sunī ye batā zamāna kyā jaane
thā dair-o-haram meñ kyā rakhā jis samt gayā Takrā ke phirā
kis parde ke pīchhe hai sho.ala andhā parvāna kyā jaane
ye zorā-zorī ishq kī thī fitrat hī jis ne badal Daalī
jaltā huā dil ho kar paanī aañsū ban jaanā kyā jaane
sajdoñ se paḌā patthar meñ gaḌhā lekin na miTā māthe kā likhā
karne ko ġharīb ne kyā na kiyā taqdīr banānā kyā jaane
āñkhoñ kī andhī ḳhud-ġharzī kaahe ko samajhne degī kabhī
jo niiñd uḌā de rātoñ kī vo ḳhvāb meñ aanā kyā jaane
patthar kī lakīr hai naqsh-e-vafā ā.īna na jaano talvoñ kā
lahrāyā kare rañgīñ-sho.ala dil palTe khānā kyā jaane
jis naale se duniyā bekal hai vo jalte dil kī mash.al hai
jo pahlā luukā ḳhud na sahe vo aag lagānā kyā jaane
ham 'ārzū' aa.e baiThe haiñ aur vo sharmā.e baiThe haiñ
mushtāq-nazar gustāḳh nahīñ parda sarkānā kyā jaane
Top Urdushayar.com