va.ada sachchā hai ki jhūTā mujhe ma.alūm na thā
kal badal jā.egī duniyā mujhe ma.alūm na thā
husn hai mashġhala-e-zulm ko gahrā parda
pas-e-parda hai añdherā mujhe ma.alūm na thā
ishq vo shai hai ki charke bhī maza dete haiñ
varna qātil haiñ hasīñ kyā mujhe ma.alūm na thā
dil kī zid is liye rakh lī thī ki aa jaa.e qarār
kal ye kuchh aur kahegā mujhe ma.alūm na thā
jhūTī ummīdoñ ne kyā kyā na hare baaġh lagā.e
vaqt jhoñkā hai havā kā mujhe ma.alūm na thā
jitne qismat ke sahāre the vo jhūTe nikle
hai bañdhī muTThiyoñ meñ kyā mujhe ma.alūm na thā
barsoñ bhaTkā kiyā aur phir bhī na un tak pahuñchā
ghar to ma.alūm thā rasta mujhe ma.alūm na thā
rāz-e-ġham faash na ho is liye rokī thī zabāñ
chup bhī rah kar yahī hogā mujhe ma.alūm na thā
dil maze letā hai jis ġham ke vo hai kāhish-e-jāñ
zahr bhī hotā hai mīThā mujhe ma.alūm na thā
ishq-ābād ke naake hī se ruḳhsat hue hosh
hai ye dīvānoñ kī duniyā mujhe ma.alūm na thā
hogā imroz kī sūrat meñ zuhūr-e-fardā
va.ada yuuñ roz Talegā mujhe ma.alūm na thā
aarzū haañ bhī hasīnoñ kī nahīñ hotī hai
in kī har baat hai dhokā mujhe ma.alūm na thā