Arzoo Lakhnavi

aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahin

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
aane meñ jhijhak milne meñ hayā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
ab ahd-e-vafā TuuTā ki rahā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
be-āp ḳhushī se ek idhar kuchh khoyā huā sā ek udhar
zāhir meñ baham bātin meñ judā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
aa.e to ḳhushāmad se aa.e baiThe to muravvat se baiThe
milnā hī ye kyā jab dil na milā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
va.ada bhī kiyā to kī na vafā aatā hai tumheñ charkoñ meñ mazā
chhoḌo bhī ye zid lutf is meñ hai kyā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
bargashta-nasīb kā yuuñ honā sonā bhī to ik karvaT sonā
kab tak ye judā.ī kā ronā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
dil milne pe bhī pahlū na milā dushman to baġhal hī meñ hai chhupā
qātil hai mohabbat kī ye hayā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
yaksūī-e-dil marġhūb hameñ barbādi-e-dil matlūb tumheñ
is zid kā hai aur anjām hī kyā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
dil se hai agar qaa.em rishta to dūr-o-qarīb kī bahs hī kyā
hai ye bhī nigāhoñ kā dhokā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
sun rakkho qabl-e-ahd-e-vafā qaul ārzū-e-shaidā.ī kā
jannat bhī hai dozaḳh gar ye huā tum aur kahīñ ham aur kahīñ
Top Urdushayar.com