taskīn-e-dil kā ye kyā qarīna
rokūñ jo naala phaT jaa.e siina
baḌhtī umañgeñ kyā par baneñgī
hai kis havā meñ dil kā safīna
haiñ kyā muamma ye aag paanī
piitā huuñ aañsū jaltā hai siina
ġham tujh ko pyārā tū mujh ko pyārī
dil kī tamannā nāzuk hasīna
aaj us ne aañsū hañs hañs ke poñchhe
ḳhushkī meñ ubhrā Duubā safīna
tārīḳh dil kī ḳhud naqsh-e-dil hai
khā khā ke choTeñ chaTkā nagīna
TuuTā huā dil ulfat bharā thā
Dhā kar imārat paayā dafīna
hadd-e-ḳhirad se zaat us kī bartar
ūñchī hai manzil nīchā hai ziina
tum 'ārzū' ho tum 'ārzū' ho
phir kaisī ranjish phir kaisā kiina