har saañs hai ik naġhma har naġhma hai mastāna
kis darja dukhe dil kā rañgīn hai afsāna
jo kuchh thā na kahne kā sab kah gayā dīvāna
samho to mukammal hai ab ishq kā afsāna
do zindagiyoñ kā hai chhoTā sā ye afsāna
lahrāyā jahāñ sho.ala andhā huā parvāna
in ras bharī ā.ankhoñ se mastī jo Tapaktī hai
hotī hai nazar saaqī dil bantā hai paimāna
vīrāne meñ dīvāna ghar chhoḌ ke aayā thā
jab hogā na dīvāna ghar DhūñDhegā vīrāna
afsāna ġham-e-dil kā sunñe ke nahīñ qābil
kah dete haiñ sab hañs kar dīvāna hai dīvāna
jab ishq ke māroñ kā pursāñ hī nahīñ koī
phir donoñ barābar haiñ bastī ho ki vīrāna
ye aag mohabbat kī paanī se nahīñ bujhtī
phir sham.a se jā lipTā jaltā huā parvāna