dekheñ mahshar meñ un se kyā Thahre
the vahī but vahī ḳhudā Thahre
Thahre us dar pe yuuñ to kyā Thahre
ban ke zanjīr-e-be-sadā Thahre
saañs Thahre to dam zarā Thahre
tez āñdhī meñ sham.a kyā Thahre
zindagānī hai ik nafas kā shumār
be-havā ye charāġh kyā Thahre
jis ko tum lā-davā batāte the
tumhīñ us dard kī davā Thahre
ishq kā jurm sahl kaam nahīñ
ki har ik lā.eq-e-sazā Thahre
bīm-o-ummīd kī kashākash meñ
ik do-rāhe pe jaise aa Thahre
rotī āñkheñ jhalak na dekh sakīñ
bahte zaḳhmoñ pe kyā davā Thahre
'ārzū' vo hameñ nasīb kahāñ
kaan tak jā ke jo sadā Thahre