Arzoo Lakhnavi

jo but hai yahan apni ja ek hi hai

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
jo but hai yahāñ apnī jā ek hī hai
duī chhoḌ bande ḳhudā ek hī hai
ye gul khil rahā hai vo murjhā rahā hai
asar do tarah ke havā ek hī hai
haiñ apnī hī niyyat ke phal talḳh-o-shīrīñ
vagarna maza dard kā ek hī hai
bhare rañg jitne badaltā zamāna
magar ishq kā mājrā ek hī hai
sabhī shikve miTte haiñ chashm-e-karam se
maraz hoñ hazāroñ davā ek hī hai
do-rañgī-e-duniyā se kyā kaam ham ko
ki firdaus-e-dil kī fazā ek hī hai
banāte haiñ be-ḳhud sabhī husn vaale
Thikāne alag rāsta ek hī hai
koī samjhe naġhma koī samjhe naala
mire sāz-e-dil kī sadā ek hī hai
vo dār-o-rasan hoñ ki hoñ zahr-o-ḳhanjar
bahāne hazāroñ qazā ek hī hai
mohabbat kare aur ho be-ġharaz bhī
lo phir 'ārzū' aap kā ek hī hai
Top Urdushayar.com