kisī gumān-o-yaqīñ kī had meñ vo shoḳh-e-parda-nashīñ nahīñ hai
jahāñ na samho usī jagah hai jahāñ samajh lo vahīñ nahīñ hai
tumhārā va.ada hai kaisā va.ada ki jis kā dil ko yaqīñ nahīñ hai
nagīn-e-be-naqsh to hazāroñ ye naqsh hai aur nagīñ nahīñ hai
tasavvuroñ ke fareb uThā kar mushāhida vahm ban rahā hai
nazar ne khaa.e haiñ itne dhoke ki dekh kar bhī yaqīñ nahīñ hai
talavvun ik jazr-o-mad hai ḳhud hī thapeḌoñ meñ aa phañsī hai kashtī
ḳhabar hai muddat ke Duube dil kī ki aaj tak tah-nashīñ nahīñ hai
ye kahtī hai gardish-e-zamāna qadam thameñge na ab kisī jā
hai ye bhī ik āsmāñ kā TukḌā tirī galī kī zamīñ nahīñ hai
vafā kī haamī hamiyyat un kī harīf-e-ummīd ġhairat un kī
nigāheñ iqrār kar rahī haiñ zabāñ pe lekin nahīñ nahīñ hai
huā jo ik dil kā daaġh raushan to ho ga.e kul charāġh raushan
ḳhayāl raushan dimāġh raushan bas ab añdherā kahīñ nahīñ hai
sarishk-e-ḳhūnīñ kā kul fasāna lapeT rakhā hai ik varaq meñ
nichoḌne par lahū na Tapke to āstīñ āstīñ nahīñ hai
hamārī nākāmī-e-vafā ne zamāne kī khol dī haiñ āñkheñ
charāġh kab kā bujhā paḌā hai magar añdherā kahīñ nahīñ hai
mujhī pe kyā hai nahīñ hai kis meñ ye but-tarāshī ye but-parastī
agar na husn-e-nazar se dekho to koī bhī phir hasīñ nahīñ hai
rah-e-itā.at meñ 'ārzū' ne qadam qadam pe kiye haiñ sajde
jo aap kā naqsh-e-pā nahīñ hai vo us kā naqsh-e-jabīñ nahīñ hai