gañvā ke dil sā guhar dard-e-sar ḳharīd liyā
bahut garāñ thā ye saudā magar ḳharīd liyā
amīn-e-ishq ne dil-e-be-ḳhatar ḳharīd liyā
ye aa.ina ma-e-ā.īna-gar ḳharīd liyā
ġhazab thā ishq kā saudā ki ahl-e-hosh ne bhī
jo kuchh nasīb thā sab bech kar ḳharīd liyā
bhalā ho ġham kī tunuk-zarfī-e-tabī.at kā
agarche baat gañvā dī asar ḳharīd liyā
rah-e-razā meñ hai ḳhūnī-kafan se shān-e-shahīd
to jaan bech ke raḳht-e-safar ḳharīd liyā
jo dil kahe na kahūñ vo jo tū kahe vo kahūñ
to kyā zamīr bhī ai hīla-gar ḳharīd liyā
talāsh-e-aish meñ ai 'ārzū' hai rañj hī rañj
sitam-nasīb ye kyā dard-e-sar ḳharīd liyā