mire josh-e-ġham kī hai ajab kahānī
kabhī uThtā sho.ala kabhī bahtā paanī
hai ḳhushī kā saudā ḳhalish-e-nihānī
hai jigar kā chhālā samar-e-javānī
jo ḳhushī hai faanī to hai ġham bhī faanī
na ye jāvedānī na vo jāvedānī
azalī mohabbat abadī kahānī
ki pas-e-fanā hai na.ī zindagānī
sitam-o-razā meñ ye hai ahd-e-mohkam
jo tirī kahānī vo marī kahānī
vo uTheñge tūfāñ ki ḳhudā bachā.e
ye na.e nazāre ye bharī javānī
ye nigāh tirchhī ye bal abrūoñ kā
har adā hai dilkash magar imtihānī
mirī kashti-e-dil dam-e-āh-o-afġhāñ
kabhī bādbānī to kabhī dahānī
dar-e-dil se palTā har ik aane vaalā
tirī yaad kyā thī mirī pāsbānī
ye tirā talavvun ye badaltī chitvan
ajab ik balā hai ki hai nā-gahānī
mirī kisht-e-dil par pa-e-zhāla-bārī
hai saped bādal aqab-e-javānī
kabhī aarzū thā yahī dāġh-e-hasrat
mujhe jo banā de tirī mehrbānī