ye dāstān-e-dil hai kyā ho adā zabāñ se
aañsū Tapak rahe haiñ lafzeñ mileñ kahāñ se
hai rabt do diloñ ko be-rabtī-e-bayāñ se
kuchh vo kaheñ nazar se kuchh ham kaheñ zabāñ se
ye rote rote hañsnā tartīb-e-zikr-e-ġham hai
aayā huuñ ibtidā par chheḌā thā darmiyāñ se
hāsil to zindagī kā thī zindagī yahīñ kī
ab maiñ huuñ ik janāza uThvā do āstāñ se
is tūl-e-ḳhāmushī kā zor-e-bayāñ bhī dekhā
thī baat mere dil kī niklī tirī zabāñ se
jab husn ḳhud-numā hai aur ishq raḳhna-afgan
is kashmakash meñ parda niklegā darmiyāñ se
maidān-e-imtihān meñ ai be-ġharaz mohabbat
dil kī zamīn tū ne Takrā dī āsmāñ se
us rāzdār-e-ġham kī hālat na pūchh jis ko
kahnā to hai bahut kuchh mahrūm hai zabāñ se
ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnūn-e-ġhair kyuuñ hoñ
ḳhud rāsta badal kar bichhḌā huuñ kārvāñ se
har gaam par ThiThaknā har baar muḌ ke taknā
o muskurāne vaale kyā le chalā yahāñ se
zāhir fareb-e-va.ada phir e'tibār itnā
vo likh gayā diloñ par jo kah diyā zabāñ se
ā.ankhoñ se bāġhbāñ kī sho.ale nikle rahe haiñ
tinke dabā.e muñh meñ niklā huuñ āshiyāñ se
dil kā sakūñ gañvā kar hoñ aarzū pashemāñ
kuchh le ke rakh na chhoḌā kyuuñ jins-e-rā.egāñ se