Arzoo Lakhnavi

dil de raha tha jo use be-dil bana diya

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
dil de rahā thā jo use be-dil banā diyā
āsān kaam aap ne mushkil banā diyā
har saañs ek sho.ala hai har sho.ala ek barq
kyā tū ne mujh ko ai tapish-e-dil banā diyā
is husn-e-zan pe ham-safaroñ ke huuñ pā-ba-gil
mujh be-ḳhabar ko rahbar-e-manzil banā diyā
andhā hai shauq phir nazar imkān par ho kyuuñ
kaam apnā dil ne aap hī mushkil banā diyā
dauḌā lahū ragoñ meñ bañdhī zindagī kī aas
ye bhī burā nahīñ hai jo bismil banā diyā
ġharq o ubuur donoñ kā hāsil hai ḳhatm-e-kar
majbūriyoñ ne mauj ko sāhil banā diyā
us shān-e-ājizī ke fidā jis ne 'ārzū'
har naaz har ġhurūr ke qābil banā diyā
Top Urdushayar.com