yahī ik nibāh kī shakl hai vo jafā kareñ maiñ vafā karūñ
agar is pe bhī na nibhī to phir mire kirdgār maiñ kyā karūñ
hai mohabbat aisī bañdhī girah jo na ek haath se khul sake
koī ahd toḌe kare daġhā mirā farz hai ki vafā karūñ
maiñ hazār bātoñ meñ ek bhī kabhī un se khul ke na kah sakā
agar ek tarah kī baat ho to hazār tarah adā karūñ
jo hañsā to sūrat-e-zaḳhm-e-dil ki lahū ke qatre Tapak paḌe
maiñ sitam-rasīda huuñ 'ārzū' na bahā.ūñ ashk to kyā karūñ