Arzoo Lakhnavi

kahin sar paTakte diwane kahin par jhulaste parwane

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
kahīñ sar paTakte dīvāne kahīñ par jhulaste parvāne
jo ho be-shu.ūr kyā jaane ye haiñ zindagī ke afsāne
ye na.ī na.ī har ik sūrat ye tilismī ā.īna-ḳhāne
hai ġhazab kī sho.ala-sāmānī ki bhaTak rahe haiñ parvāne
sabhī apne aur begāne chale aa rahe haiñ samjhāne
mujhe kyā huā ḳhudā jaane maiñ siḌī huuñ yā ye dīvāne
koī aa rahā hai samjhāne magar is tarah ki be-jāne
haiñ usī ke ġham meñ dīvāne abhī sun le to burā maane
lalak ek sī na ai koyal na tirā sā dil hai merā dil
tirī kuuk ko maiñ kyā samjhūñ mirī huuk ko tū kyā jaane
tirī be-ruḳhī ne ai saaqī havas-e-talab baḌhā dī hai
huā chuur ek paimāna to bane hazār paimāne
hai idhar ḳhumār ā.ankhoñ meñ udhar intizār ā.ankhoñ meñ
abhī daur-e-mai-kashī hai duur abhī ban rahe haiñ maiḳhāne
huā bhole-pan pe jo bismil vo to apnā aap hai qātil
ye samajh kā pher hai ai dil sitam-o-jafā vo kyā jaane
na.ī karvaTeñ zamāne kī haiñ baḌī hī inqalābātī
kahīñ bastiyoñ meñ vīrānī kahīñ bas rahe haiñ vīrāne
ye ubhartī miTtī tahrīreñ ye bigaḌtī bantī tasvīreñ
kisī husn kī haiñ tanvīreñ koī dekhe ho to pahchāne
tū hai jān-e-husn ye sun ke to pasīna chhūTā māthe se
mirā naam 'ārzū' sun le to vo aur bhī burā maane
Top Urdushayar.com