Arzoo Lakhnavi

nazar us chashm pe hai jam liye baiTha hun

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
nazar us chashm pe hai jaam liye baiThā huuñ
hai na piine kā ye matlab ki piye baiThā huuñ
raḳhna-andāzi-e-andoh se ġhāfil nahīñ maiñ
hai jigar chaak to kyā hoñT siye baiThā huuñ
kyā karūñ dil ko jo lene nahīñ detā hai qarār
jo muqaddar ne diyā hai vo liye baiThā huuñ
iltifāt ai nigah-e-hosh-rubā ab kyuuñ hai
paas jo kuchh thā vo pahle se diye baiThā huuñ
dil-e-pur-kaif salāmat ki akele meñ bhī
ek botal se baġhal garm kiye baiThā huuñ
'ārzū' jalte hue dil ke sharāre haiñ ye ashk
aag paanī ke kaToroñ meñ liye baiThā huuñ
Top Urdushayar.com