Arzoo Lakhnavi

Khaali baiThe kyun din kaTen aao re ji ek kaam karen

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ḳhālī baiThe kyuuñ din kāTeñ aao re jī ik kaam kareñ
vo to haiñ raaja ham baneñ parjā aur jhuk jhuk ke salām kareñ
khul paḌne meñ nākāmī hai gum ho kar kuchh kaam kareñ
des purānā bhes banā ho naam badal kar naam kareñ
donoñ jahāñ meñ ḳhidmat terī ḳhādim ko maḳhdūm banā.e
pariyāñ jis ke paañv dabā.eñ hūreñ jis kā kaam kareñ
hijr kā sannāTā kho degī gahmā-gahmī nāloñ kī
raat akele kyūñkar kāTeñ sab kī niiñd harām kareñ
mere burā kahlāne se to achchhe ban nahīñ sakte aap
baiThe-baiThā.e ye kyā sūjhī aao use badnām kareñ
dil kī ḳhushī pāband na niklī rasm-o-rivāj-e-ālam kī
phūloñ par to chain na aa.e kāñToñ par ārām kareñ
aise hī kaam kiyā kartī hai gardish un kī āñkhoñ kī
shaam ko chāhe sub.h banā deñ sub.h ko chāhe shaam kareñ
lā-mahdūd fazā meñ phir kar had koī kyā Dālegā
puḳhta-kār-e-junūñ ham bhī haiñ kyuuñ ye ḳhayāl-e-ḳhām kareñ
nām-e-vafā se chiḌh un ko aur 'ārzū' is ḳhū se majbūr
kyūñkar āḳhir dil bahlā.eñ kis vahshī ko raam kareñ
Top Urdushayar.com