kuchh maiñ ne kahī hai na abhī us ne sunī hai
chitvan hai ki talvār liye sar pe khaḌī hai
aane ko hai koī jo lalak phir se huī hai
Duube hue sūraj kī kiran phuuT rahī hai
hai pighlī huī aag ki jalte hue aañsū
luukā vahīñ uThā hai jahāñ buuñd paḌī hai
jab sukh nahīñ jiine meñ to ik rog hai jiinā
saañs aa.ī hai jab choT kaleje meñ lagī hai
kal kyā kaheñ dekhīñ vo badaltī huī chitvan
sau āsare TuuTe haiñ to ik aas bañdhī hai
maiñ kuchh na kahūñ aur vo jo chāhe kahe jaa.eñ
ab rokī huī saañs galā ghūñT rahī hai
kahne ko to aatī hai unheñ haañ bhī nahīñ bhī
ho jis pe bharosa na vahī hai na yahī hai
ubhre hue chhāle haiñ hai rokā huā aañsū
bas bujh chukī ye aag ki paanī se lagī hai