talāsh-e-rañg meñ āvāra misl-e-bū huuñ maiñ
guzar ke aap se apnī hī justujū huuñ maiñ
nafas hai saḳhtī-e-qaid-e-hayāt kā zāmin
nikal sake jo na phāñsī se vo gulū huuñ maiñ
nishān-e-hastī faanī hai dāġh-e-nākāmī
ḳhud apnī aañkh se Tapkā huā lahū huuñ maiñ
misāl-e-paikar-e-sīmāb-e-iztirāb mudām
pa-e-nigāh-e-karam sharh-e-ārzū huuñ maiñ
mirī zabāñ pe haiñ andesha-hā-e-nākāmī
samajh rahe vo dil meñ ki hīla-jū huuñ maiñ
abhī hai āb-e-nadāmat sar-e-jabīñ baaqī
namāz aise maiñ paḌh luuñ ki bā-vazū huuñ maiñ
huuñ kuchh na hone pe bhī kā.enāt kā hāsil
ki apnā shauq nahīñ terī aarzū huuñ maiñ
misāl-e-ma.anī-e-be-lafz-o-lafz-e-be-ma.anī
jo tere dil meñ nahīñ hai vo 'ārzū' huuñ maiñ