ārām ke the sāthī kyā kyā jab vaqt paḌā to koī nahīñ
sab dost haiñ apne matlab ke duniyā meñ kisī kā koī nahīñ
gul-gasht meñ dāman muñh pe na lo nargis se hayā kyā hai tum ko
us aañkh se parda karte ho jis aañkh meñ pardā koī nahīñ
jo baaġh thā kal phūloñ se bharā aTkheliyoñ se chaltī thī sabā
ab sumbul o gul kā zikr to kyā ḳhaak uḌtī hai us jā koī nahīñ
kal jin ko añdhere se thā hazar rahtā thā charāġhāñ pesh-e-nazar
ik sham.a jalā de turbat par juz daaġh ab itnā koī nahīñ
jab band huiiñ āñkheñ to khulā do roz kā thā saarā jhagḌā
taḳht us kā na ab hai taaj us kā askandar o daarā koī nahīñ
qattāl-e-jahāñ māshūq jo the suune paḌe haiñ marqad un ke
yā marne vaale lākhoñ the yā rone vaalā koī nahīñ
ai 'ārzū' ab tak itnā patā chaltā hai tirī barbādī kā
jis se na bagūle hoñ paidā is tarah kā sahrā koī nahīñ