Arzoo Lakhnavi

gore gore chand se munh par kali kali aankhen hain

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
gore gore chāñd se muñh par kaalī kaalī āñkheñ haiñ
dekh ke jin ko niiñd aa jaa.e vo matvālī āñkheñ haiñ
muñh se pallā kyā sarkānā is bādal meñ bijlī hai
sūjhtī hai aisī hī nahīñ jo phūTne vaalī āñkheñ haiñ
chaah ne andhā kar rakkhā hai aur nahīñ to dekhne meñ
āñkheñ āñkheñ sab haiñ barābar kaun nirālī āñkheñ haiñ
be jis ke andher hai sab kuchh aisī baat hai us meñ kyā
jī kā hai ye bāvlā-pan yā bholī-bhālī āñkheñ haiñ
'ārzū' ab bhī khoTe khare ko kar ke alag hī rakh deñgī
un kī parakh kā kyā kahnā hai jo Teksālī āñkheñ haiñ
Top Urdushayar.com