avval-e-shab vo bazm kī raunaq sham.a bhī thī parvāna bhī
raat ke āḳhir hote hote ḳhatm thā ye afsāna bhī
qaid ko toḌ ke niklā jab maiñ uTh ke bagūle saath hue
dasht-e-adam tak jañgal jañgal bhaag chalā vīrāna bhī
haath se kis ne sāġhar paTkā mausam kī be-kaifī par
itnā barsā TuuT ke bādal Duub chalā mai-ḳhāna bhī
ek lagī ke do haiñ asar aur donoñ hasb-e-marātib haiñ
lau jo lagā.e sham.a khaḌī hai raqs meñ hai parvāna bhī
donoñ jaulāñ-gāh-e-junūñ haiñ bastī kyā vīrāna hai
uTh ke chalā jab koī bagūlā dauḌ paḌā vīrāna bhī
ġhunche chup haiñ gul haiñ havā par kis se kahiye jī kā haal
ḳhāk-nashīñ ik sabza hai so apnā bhī begāna bhī
husn o ishq kī laag meñ aksar chheḌ udhar se hotī hai
sham.a kā sho.ala jab lahrāyā uḌ ke chalā parvāna bhī
ḳhuun hī kī shirkat vo na kyuuñ ho shirkat chiiz hai jhagḌe kī
apnoñ se vo dekh rahā huuñ jo na kare begānā bhī
daur-e-masarrat 'ārzū' apnā kaisā zalzala-āgīñ thā
haath se muñh tak aate aate chhūT paḌā paimāna bhī