aañkh se dil meñ aane vaalā
dil se nahīñ ab jaane vaalā
ghar ko phūñk ke jaane vaalā
phir ke nahīñ hai aane vaalā
dost to hai nādān hai lekin
be-samjhe samjhāne vaalā
aañsū poñchh ke hañs detā hai
aag meñ aag lagāne vaalā
hai jo koī to dhyān usī kā
aane vaalā jaane vaalā
husn kī bastī meñ hai yaaro
koī taras bhī khāne vaalā
Daal rahā hai kaam meñ mushkil
mushkil meñ kaam aane vaalā
dī thī tasallī ye kis dil se
chup na huā chillāne vaalā
ḳhvāb ke parde meñ aatā hai
sotā pā ke jagāne vaalā
ik din parda ḳhud ulTegā
chhup-chhup ke tarsāne vaalā
'ārzū' in ke aage hai chup kyuuñ
tum sā bāteñ banāne vaalā