Arzoo Lakhnavi

pher jo paDna tha qismat mein wo hasb-e-mamul paDa

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
pher jo paḌnā thā qismat meñ vo hasb-e-ma.amūl paḌā
ḳhanda-e-gul se uḌā vo sharāra ḳhirman-e-dil par phuul paḌā
dekh idhar o niiñd ke maate kis kī achānak yaad aa.ī
biich se TuuTī hai añgḌā.ī haath uThte hī jhuul paḌā
husn-o-ishq kī an-ban kyā hai dil ke phañsāne kā phandā
apne hāthoñ ḳhud aafat meñ jā ke ye nā-māqūl paḌā
kaun kahe qismat palTī yā mat palTī sailānī kī
rasta kaaT ke jaane vaalā aaj idhar bhī bhuul paḌā
haal nahīñ jiine ke qābil aas nahīñ marne detī
eḌiyāñ ragḌe āḳhir kab tak ḳhaak par ik maqtūl paḌā
jitne husn-ābād meñ pahuñche hosh-o-ḳhirad kho kar pahuñche
maal bhī to itne kā nahīñ ab jitnā kuchh mahsūl paḌā
rāh-e-vafā thī TeḌhī bigḌī thī har gaam uftād na.ī
paañv kisī kā TuuT gayā aur haath kisī kā jhuul paḌā
baaġh meñ gulchīñ hai na hai maalī bijlī hai na falak pe sahāb
ahd-e-ḳhizāñ meñ jalā hai nasheman aa ke kahāñ se phuul paḌā
paañv kī tāqat taaq huī to band kī aañkh aur jā pahuñche
'ārzū' us ko ḳhuub kiyā kam rāste meñ jo tuul paḌā
Top Urdushayar.com