Arzoo Lakhnavi

hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ham aaj khā.eñge ik tiir imtihāñ ke liye
ki vaqf karnā hai dil nāz-e-jāñ-sitāñ ke liye
jalā ke dil ko lapak se Daro na shole kī
zabāñ darāz hai lekin nahīñ fuġhāñ ke liye
isī chaman meñ ki vus.at hai jis kī nā-mahdūd
nahīñ panāh kī jā ek āshiyāñ ke liye
kiyā thā zabt ne dāva-e-rāzdāri-e-ishq
uThā hai dard kaleje meñ imtihāñ ke liye
kisī ko DhūñDe na miltā nazar kī choT kā niil
na hotā dil meñ suvaidā agar nishāñ ke liye
sivā-e-dil ke jo sarmāya-e-do-ālam hai
na kuchh yahāñ ke liye hai na kuchh vahāñ ke liye
na ishq jurm hai koī na dil kī baat hai raaz
burā ho sharm kā ik qufl hai zabāñ ke liye
ḳhilāf apne rahī vaz-e-sāz-o-barg-e-chaman
qafas bane haiñ jo tinke the āshiyāñ ke liye
laraz rahe haiñ falak 'ārzū' ki āh-e-rasā
chalī hai teġh-ba-kaf fat.h-e-haft-ḳhvāñ ke liye
Top Urdushayar.com