Arzoo Lakhnavi

dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiTha hun

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
dil meñ yād-e-but-e-be-pīr liye baiThā huuñ
yaanī ik zulm kī tasvīr liye baiThā huuñ
aah meñ dard kī tāsīr liye baiThā huuñ
dil meñ ik ḳhuun bharā tiir liye baiThā huuñ
ik zarā sī ḳhalish-e-dard-e-jigar par ye ghamanD
jaise kul ishq kī jāgīr liye baiThā huuñ
hai mujhe sāz-e-tarab soḳhta-sāmāni-e-dil
parda-e-ḳhāk meñ iksīr liye baiThā huuñ
chuur shīshe pe nazar paḌte hī dil yaad aayā
miTne vaale tirī tasvīr liye baiThā huuñ
qaid ko toḌ ke samjhā ki sahārā toḌā
haath meñ paañv kī zanjīr liye baiThā huuñ
'ārzū' ho chukī sau martaba duniyā bedār
aur maiñ soī huī taqdīr liye baiThā huuñ
Top Urdushayar.com