Arzoo Lakhnavi

ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ai mire zaḳhm-e-dil-navāz ġham ko ḳhushī banā.e jā
ā.ankhoñ se ḳhuuñ bahā.e jā hoñToñ se muskurā.e jā
jaane se pahle bevafā shab ko sahar banā.e jā
dil ko bujhā ke kyā chalā sham.a ko bhī bujhā.e jā
saañs kā taar TuuT jaa.e TuuTe na taar aah kā
ek hī lai pe gaa.e jā ek hī dhun bajā.e jā
hukm-e-talab ke muntazir shauq kī aabrū na kho
sar ko qadam banā ke chal ā.ankhoñ se be-bulā.e jā
le vo davā-e-talḳh hai jis kā asar hai ḳhush-gavār
piine meñ muñh banā.e jā dil meñ maze uThā.e jā
joshish-e-chashm-e-ashk-bār muft na rakh karam kā baar
merī lagī to bujh chukī apnī lagī bujhā.e jā
manzil-e-be-ḳhudī-e-shauq hadd-e-nazar se duur hai
pīchhe palaT ke bhī na dekh aage qadam baḌhā.e jā
ik hama-tan hai pā-e-nāz ik hama-tan sar-e-niyāz
ye to chalan jahāñ kā hai jitnā de dabā.e jā
zarf-e-sharāb tere paas zurūf-e-surūr mere paas
dil to nahīñ ba-qadr-e-jām dekh na muñh pilā.e jā
donoñ haiñ nāz-e-dilbarī zid meñ hai jin kī aur lutf
ek taraf lagā.e jā ek taraf bujhā.e jā
chāñd meñ gum chakor ḳhud chāñd kahīñ chhupā huā
apnī talāsh ḳhatm kar us kā pata lagā.e jā
'ārzū' us se kah do saaf ġham kā asar hai der-pā
jald hañsī na aa.egī aur abhī gudgudā.e jā
Top Urdushayar.com