Arzoo Lakhnavi

na kar talash-e-asar tir hai laga na laga

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
na kar talāsh-e-asar tiir hai lagā na lagā
jo apne bas kā nahīñ us kā aasrā na lagā
hayāt lazzat-e-āzār kā hai dūsrā naam
namak chhiḌak to chhiḌak zaḳhm par davā na lagā
mire ḳhayāl kī duniyā meñ is jahāñ se duur
ye baiThe baiThe huā gum ki phir patā na lagā
ḳhushī ye dil kī hai is meñ nahīñ hai aql ko daḳhl
burā vo kahte rahe aur kuchh burā na lagā
chamak se barq kī kam-tar hai vaqfa-e-dīdār
nazar haTī ki use haath ik bahāna lagā
mirī talāsh thī tashvīsh-e-dīda-e-be-nūr
vo milte kyā mujhe apnā hī jab patā na lagā
Top Urdushayar.com