bhole ban kar haal na pūchho bahte haiñ ashk to bahne do
jis se baḌhe bechainī dil kī aisī tasallī rahne do
rasmeñ is andher-nagrī kī na.ī nahīñ ye purānī haiñ
mehr pe Daalo raat kā parda maah ko raushan rahne do
ruuh nikal kar bāġh-e-jahāñ se bāġh-e-jināñ meñ jā pahuñche
chehre pe apne merī nigāheñ itnī der to rahne do
ḳhanda-e-gul bulbul meñ hogā gul meñ naġhma bulbul kā
qissa ek zabāneñ do haiñ aap kaho yā kahne do
itnā junūn-e-shauq diyā kyuuñ ḳhauf jo thā rusvā.ī kā
baat karo ḳhud qābil-e-shikva ulTe mujh ko rahne do