Arzoo Lakhnavi

mir-e-mahfil na hue garmi-e-mahfil to hue

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951

mīr-e-mahfil na hue garmī-e-mahfil to hue

sham.a-e-tābāñ na sahī jaltā huā dil to hue

na sahī ḳhaak ke putloñ meñ sifāt-e-malakī

baare is bār-e-vafā ke mutahammil to hue

hausle dil ke mohabbat meñ jo piste rahe

kar ke himmat tire ġhamzoñ ke muqābil to hue

purshis-e-ġham-zadagāñ bahr-e-tafannun sahī

ḳhair se aap bhī is bazm meñ shāmil to hue

be-asar aah se bhī itnī tasallī hai zarūr

muñh takā karte the jo vo kisī qābil to hue

aan rakh tirī shamshīr-e-adā yuuñ bhī

jin ko marnā nahīñ aatā thā vo bismil to hue

sanad-e-sabr sahī paak diloñ ke nāsūr

aise maqtūl bhī ik tarah ke qātil to hue

rashk-e-dushman talāfī ko ye pahlū nahīñ kam

ġham-e-jāñ-kāh-e-mohabbat ke vo qātil to hue

ḳhud se dukh mol leñ ye kaam kuchh āsān na thā

khā ke ik choT maze dard ke hāsil to hue

ḳhud-kushī meñ to ḳhalal 'ārzū' aayā lekin

haath un ke mirī gardan meñ hamā.il to hue

Top Urdushayar.com