Arzoo Lakhnavi

taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
taqdīr pe shākir rah kar bhī ye kaun kahe tadbīr na kar
vā bāb-e-ijābat ho ki na ho zanjīr hilā tāḳhīr na kar
ġham baḌhne de ai dil aur zarā jāñch aah kī be-tāsīr na kar
hai ḳhvāb adhūrā aap abhī be-samjhe ġhalat ta.abīr na kar
jab zulm kā badla zulm huā mazlūm kā haq kuchh bhī na rahā
de dard hī meñ lazzat yārab naale ko atā tāsīr na kar
ho laakh kamān kaḌī qātil kuchh jazb nishāne meñ bhī hai
baazū ke bal pe nazar kar ke andāza-e-zaḳhm-e-tīr na kar
ab tak jo nigāheñ sīdhī haiñ mumkin hai kal ye palaT jaa.eñ
jo karnā ho kare aise meñ kis soch meñ hai tāḳhīr na kar
paimān-e-mohabbat ḳhatm huā ab zikr se us ke fā.eda kyā
muñh bikhrī kaḌiyoñ ke na milā tayyār na.ī zanjīr na kar
ulfat ke ahd-e-mohkam meñ buude kāġhaz kī zamānat kyā
ye dil se dil kī bāteñ haiñ rakh yaad faqat tahrīr na kar
har dil hai hayāt kā sarmāya har dil meñ josh mohabbat kā
tū 'ārzū' aur kahegā kyā bas rahne bhī de taqrīr na kar
Top Urdushayar.com