Arzoo Lakhnavi

ai jazb-e-mohabbat tu hi bata kyunkar na asar le dil hi to hai

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ai jazb-e-mohabbat tū hī batā kyūñkar na asar le dil hī to hai
sīdhī bhī chhurī TeḌhī bhī chhurī dil-doz nazar qātil hī to hai
jab huuk uThegī taḌpegā insāf na chhoḌo dil hī to hai
nā-chand thakan kā sabr-o-sukūñ bismil āḳhir bismil hī to hai
tūfān-e-balā kī maujoñ meñ kiiñ band āñkheñ aur phāñd paḌe
kashtī ne jahāñ Takkar khaa.ī dil bol uThā sāhil hī to hai
hai zarf yahāñ kis kā kitnā dil bas hai usī kā paimāna
ronā bhī burā hañsnā bhī burā jo baat hai vo mushkil hī to hai
nā-ḳhush hai to kyā hai ḳhush hai to kyā jaisā bhī sahī hai tū apnā
ye saath nahīñ chhuTne vaalā be-kas kā sahārā dil hī to hai
haiñ maut ke is jiine meñ maze ġham jis ko na ho vo kyā samjhe
jab sābit karte ban na paḌe jo da.avā hai bātil hī to hai
thī ḳhizr-e-tarīq uftād yahāñ aur sañg-e-havādis sañg-e-nishāñ
had rāh-e-talab kī aa ga.ī haañ jaatā hai kahāñ manzil hī to hai
dukh de ke ulTe denā kyā fariyād natīja hai ġham kā
jab Thes lagī shīsha Thankā patthar na samajhiye dil hī to hai
aap 'ārzū' ab ḳhāmosh raheñ kuchh achchhī burī khul kar na kaheñ
haiñ jitne muñh itnī bāteñ mahfil āḳhir mahfil hī to hai
Top Urdushayar.com