baġhaur dekh rahā hai adā-shanās mujhe
bas ab zalīl na kar ai nigāh-e-yās mujhe
ye dil hai shauq meñ be-ḳhud vo aañkh nashshe meñ chuur
jhukā na de su-e-sāġhar bhaḌaktī pyaas mujhe
udhar malāmat-e-duniyā idhar malāmat-e-nafs
baḌā azaab hai aa.e hue havās mujhe
palaT do baat na lo muñh se naam ruḳhsat kā
abhī se ghar nazar aane lagā udaas mujhe
jo multafit haiñ ye nazreñ badal bhī saktī haiñ
banā chukā hai zamāna adā-shanās mujhe