Arzoo Lakhnavi

ayan hai be-ruKHi chitwan se aur ghussa nigahon se

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
ayaañ hai be-ruḳhī chitvan se aur ġhussa nigāhoñ se
payām-e-ḳhāmushī aur vo bhī do do nashr-gāhoñ se
vabāl-e-jāñ hai aisī zindagī jis meñ talātum ho
miTā luuñ hausle phir tauba kar lūñgā gunāhoñ se
fazā mahdūd kab hai ai dil-e-vahshī falak kaisā
nilāhaT hai nazar kī dekhte haiñ jo nigāhoñ se
haqīqat meñ nigāhoñ se koī manzil nahīñ bachtī
guzarte dekhe haiñ gosha-nashīñ tak shāh-rāhoñ se
tahī-dastān-e-qismat ko na lenā thā na denā thā
hisāb-e-zindagī kyā hai ye pūchho bādshāhoñ se
hameñ to jalte dil kī raushnī meñ aage baḌhnā hai
haTā do qumqume bijlī ke nā-hamvār rāhoñ se
mire nāloñ ke sab shākī koī un ko nahīñ kahtā
khurachte rahte haiñ jo zaḳhm-e-dil ḳhūnī nigāhoñ se
pilā do zahr-e-ġham dil ko na chhoḌe gar havas-kārī
gunah vo ek achchhā jo bachā le sau gunāhoñ se
hamīñ kuchh 'ārzū' pher un kī bātoñ kā samajhte haiñ
jo haq-poshī meñ sach ko jhuuT karte haiñ gavāhoñ se
Top Urdushayar.com