Arzoo Lakhnavi

na koi jalwati na koi KHalwati na koi KHas tha na koi aam tha

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
na koī jalvatī na koī ḳhalvatī na koī ḳhaas thā na koī aam thā
na koī husn thā na koī ishq thā na yahī naam thā na vahī naam thā
na koī thā makīñ na koī thā makāñ na koī thī zamīñ na koī thā zamāñ
na koī sharq thā na koī ġharb thā na dam-e-sub.h thā na sar-e-shām thā
azal lā-yazal abad be-badal jo bane āj-kal ufuq-sad-amal
na kahīñ the ḳhafī na kahīñ the jalī na koī thā nishāñ na koī naam thā
talab-e-mudda.ā havas-e-nāravā jo kabhī kuchh kahā vo hue be-maza
vo bajā-e-jazā suḳhan-e-nāstrā shajar-e-hirs kā samar-e-ḳhām thā
jo lage aag bhī to na ho zau-fishāñ jo bujhe sho.ala bhī to na uThe dhuāñ
na gila hijr kā na sila ishq kā ye vahī hukm thā jo mire naam thā
jo bujhī sham-e-dil to baḌhī raushnī jo piyā zahr-e-ġham to baḌhī zindagī
ye tū hī ab batā zarā munsifī ye tirā kaam thā ki mirā kaam thā
suḳhan-e-'ārzū' chaman-e-ārzū ḳhutan-e-ārzū adn-e-ārzū
ye dur-e-be-sadaf qamar-e-bā-sharaf na tah-e-ḳhāna thā na sar-e-bām thā
Top Urdushayar.com