Arzoo Lakhnavi

wo sar-e-baam kab nahin aata

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
vo sar-e-bām kab nahīñ aatā
jab maiñ hotā huuñ tab nahīñ aatā
bahr-e-taskīñ vo kab nahīñ aatā
e'tibār aah ab nahīñ aatā
chup hai shikvoñ kī ek band kitāb
us se kahne kā Dhab nahīñ aatā
un ke aage bhī dil ko chain nahīñ
be-adab ko adab nahīñ aatā
zaḳhm se kam nahīñ hai us kī hañsī
jis ko ronā bhī ab nahīñ aatā
muñh ko aa jaatā hai jigar ġham se
aur gila tā-ba-lab nahīñ aatā
bholī bātoñ pe terī dil ko yaqīñ
pahle aatā thā ab nahīñ aatā
dukh vo detā hai us pe hai ye haal
lene jaatā huuñ jab nahīñ aatā
'ārzū' be-asar mohabbat chhoḌ
kyuuñ kare kaam jab nahīñ aatā
Top Urdushayar.com