husn se sharh huī ishq ke afsāne kī
sham.a lau de ke zabāñ ban ga.ī parvāne kī
shaan bastī se nahīñ kam mire vīrāne kī
ruuh har boñDle meñ hai kisī dīvāne kī
āmad-e-mausam-e-gul kī hai ḳhabar daur-e-digar
tāzgī chāhiye kuchh sāḳht meñ paimāne kī
aa.ī hai kaaT ke mī.ād-e-asīrī kī bahār
hatkaḌī khul ke girī jaatī hai dīvāne kī
sard ai sham.a na ho garmi-e-bāzār-e-jamāl
phūñk de ruuh na.ī laash meñ parvāne kī
uTh khaḌā ho to bagūlā hai jo baiThe to ġhubār
ḳhaak ho kar bhī vahī shaan hai dīvāne kī
'ārzū' ḳhatm haqīqat pe huā daur-e-majāz
Daalī ka.abe kī binā aaḌ se but-ḳhāne kī