Premi Romani

khul gai khiDki achanak phir bhi mujhko Dar na tha

Premi Romani

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1953
khul ga.ī khiḌkī achānak phir bhī mujh ko Dar na thā
ab mirī āñkhoñ meñ koī raat kā manzar na thā
bah rahā thā chaar sū ik ret kā dariyā magar
jis jagah par maiñ khaḌā thā rāsta banjar na thā
shahr ke saare makāñ lagne lage haiñ ek se
jis makāñ meñ bhī gayā dekhā merā vo ghar na thā
yaad jab karne lagā tab rañg-e-mausam bhī khulā
log kahte the ki tuġhyānī bharā sāgar na thā
rāste 'premī' sabhī kyuuñ kho ga.e gum ho ga.e
is se pahle itnī gahrī dhund kā manzar na thā
Top Urdushayar.com