maiñ kaun huuñ kyā huuñ maiñ yahī soch rahā huuñ
sūrat meñ muqayyad huuñ magar bikhrā huā huuñ
tā-hadd-e-nazar mere sivā koī nahīñ hai
maiñ jaise kisī dard ke sahrā meñ khaḌā huuñ
ye baat mirī soch se bāhar hai abhī tak
maiñ koh thā phir kaise samundar meñ bahā huuñ
ye sach hai kisī kā huuñ maiñ matlūb na tālib
hairāñ huuñ ki kis vāste duniyā meñ jiyā huuñ
be-bas huuñ maiñ ai mujh se ziyā māñgne vaalo
maiñ diip thā jalne se magar pahle bujhā huuñ
'premī' mujhe is baat kā ḳhud ilm nahīñ hai
vo kaun hai maiñ jis ke ḳhayāloñ meñ ghirā huuñ