Qayem Chandpuri

aawe KHizan chaman ki taraf gar main ru karun

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794
aave ḳhizāñ chaman kī taraf gar maiñ rū karūñ
ġhuncha kare guloñ ko sabā gar maiñ bū karūñ
āzurda is chaman meñ huuñ mānind-e-barg-e-ḳhushk
chheḌe jo Tuk nasīm mujhe sau ġhulū karūñ
āñkhoñ se jaa.e ashk girīñ gul chaman chaman
manzūr girya gar maiñ tirā rañg-o-bū karūñ
aayā huuñ pāra-dozī-e-dil se nipaT ba-tañg
aise phaTe hue ko maiñ kab tak rafū karūñ
kyā aarzū ki ḳhaak meñ apnī mileñ na yaañ
kis rū se ab falak se maiñ kuchh aarzū karūñ
kahtā hai aa.ina ki hai tujh sā hī ek aur
bāvar nahīñ to lā maiñ tire rū-ba-rū karūñ
saare hī is chaman se havā-ḳhvāh uTh ga.e
ro.uuñ guloñ ko yā maiñ ġham-e-rañg-o-bū karūñ
'qā.em' ye jī meñ hai ki taqayyud se shaiḳh kī
ab ke jo maiñ namāz karūñ be-vazū karūñ
Top Urdushayar.com